Yun
ghar ki bheeter baitha mein kahin kho sa gaya,
Khidki
ke bahar nazar daudayi to kuch ehsaas hua,
Kuch
samay ho gaya tha jab se ghar mein band tha mein,
Shayad
ye ek darr tha jo mujhe jakad raha tha..
Ab
socta hun ki Maut ka kafan bandhe chalun wahan,
Ek
woh jahan, jahan maut bahut sasti hai…
Yun
darr kar chupe rehna kuch thik nahi lagta,
Dekho,
ye khidki ke bahar to bahut log hain,
Yeh
to bekhauf chale jaa rahe hain,
Kya
apni jaati bhula dene se kuch asaan ho jayega,
Ab
socta hun ki Maut ka kafan bandhe chalun wahan,
Ek
woh jahan, jahan maut bahut sasti hai…
Par
ye log to mujhe nahi bhule honge,
Inhone
hi to mujhse mera parichay karwaya tha,
Mein
musalmaan zyada aur bhartiye kam ye batlaya tha,
Par
yun chup ke baithna to thik nahi lag raha,
Ab
socta hun ki Maut ka kafan bandhe chalun wahan,
Ek
woh jahan, jahan maut bahut sasti hai…
Kya
is desh ke kannon pe bharosa kiya ja sakta tha,
Jo
khud shikaar ho shikaari ki bhumika nibha raha tha,
2002
se 2013 tak 995 ‘fake encounters’ kar chukka tha,
Par
nahi, mein 996th nahi ho sakta, mera dharam mujhe doshi kaise bana
sakta tha,
Ab
socta hun ki Maut ka kafan bandhe chalun wahan,
Ek
woh jahan, jahan maut bahut sasti hai…
Yun
sarhad par ka rasta dikha diya jaana bahut ajeeb tha,
Raam
ke naam pe yun masjid girana bahut ajeeb tha,
Gai
ko bachane ke naam pe yun humein maar girana bahut ajeeb tha,
Hindutv
mein jadke us kanoon ka ek tarfa nazariya bahut ajeeb tha,
Bhopal
ki jail mein woh 8 kaidiyon ka “fake encounter” bahut ajeeb tha,
Ishrat
jahan ko is jahan se ruksat kar dena bahut ajeeb tha,
28
September 2015 ko Mohammad Akhlaq Saifi ko lynch kar maar girana bahut ajeeb
tha,
Aur
in sab mein kuch ajeeb nahi tha to mera yeh dar,
Jo
bar bar mujhe sab yaad dila raha tha,
Har
din ke baad raat ka ehsaas dila raha tha,
Din
ke ujaale mein andhkaar faila rha tha….
Aaj ki raat shayad ek haseen subah le aae,
Jab
mere desh ke vaasi, mein jaisa hun, mujhe vaisa hi apnaein,
Mere
sar ki topi ya daadi se nahin, mujhe mere karm se pehchaane,
Hindu
muslim sikh isaai, aapas mein hain sab bhai ka naara lagein…
Aur
agar kahin ye na ho paye, To ab aur na darunga,
Ab
badh chalunga us jahan mein jo mera bhi hai,
Bas
ye aaj ki raat nikal jaye, ek haseen subah mein ek nai shuruaat karunga,
Maut
ka kafan bandhe chala jaunga wahan,
Ek
woh jahan, jahan maut bahut sasti hai…
No comments:
Post a Comment