Thursday 27 October 2016

Insaniyat ka janaaza


Akhbaar ke kuch panne padte hue mein kahin kho sa gaya,
thodi nazar ghumai to kashmir ki waadion sa kuch pratit hua
woh waadiyan jinhe ye kaala dhuaan apne mein jakad sa raha tha,
Uski sundarta pe kuch kalik se poth raha tha....

Kyun un waadiyon ka drishya yun bhayanak sa hai,
Kyun aaj ye hawa thami si hai,
Ye pedon ke phool kuch bejaan se hain,
Kyun aaj woh parinde apne ghosle mein yun chupe se baithe hain,
Wakt to nahi ruka, bedhadak chala ja raha hai…

Suraj to aaya hai, bus roshni yahan nai aa saki hai,
Chand bhi ja chukka hai, bus andhera yahan reh gaya hai,
Yeh din mein andhera kuch sawaal puch raha hai,
Kya insaan ne raat ke andhakaar ko chura liya hai,
Wakt to nahi ruka, bedhadak chala ja raha hai…

Kuch aage badha, to kuch atpata sa dikha
Ek school ki imaarat jahan bache nahi the,
Kuch dukaane jahan dukanwaale nahi the,
Aur ye signal ki hari batti, par koi jaane waale nahi the,
Ye ghane ped ki chaaon, par koi wahan baitha nahi tha,
Ye sadak pe khadi kuch gaadian, jo bejaan si thi,
Ye mandir aur woh masjid ka bhagwaan kuch akela sa tha
Kahan gaya ye insaan, kahan chupa hai, kahan ruka hai?
Wakt to nahi ruka, bedhadak chala ja raha hai…

Mein sochta raha ki yahaan hua kya hoga,
Kya fir se insaan ne apni nafrat ka pradarshan kiya hoga,
Kya Kashmir mein hui barbaadi ko woh bhul gaya hoga,
Kya sab kuch bhula kar who phir se khoon ki nadiyaan bahaane nikla hoga,
Aur agar nikla hoga to yahan dikhta kyun nai woh,
Kya sab kuch khatam kar khud ko kahin dafan kar chukka hai,
Wakt to nahi ruka, bedhadak chala ja raha hai…

Khud ko hi is wehshat ka shikaar bana chukka hai,
15000 logon ko ghayal kar chukka hai,
1000 ki aankon mein pallet mar 300 ko andha kar chukka hai,
Ae Insaan, kya tere andar ka insaan mar chukka hai?
4500 ko pallet se ghayal aur 4664 ko goli se ghayal kar chukka hai,
8000 logon ko jail mein daal chukka hai
Is ke ghar ki beti aur uske maa baap ko yun kaise bhul chukka hai?
Ae insaan, kya tere andar ka insaan mar chukka hai?

Is khoobsurat si zindagi ko kyun beshakal se bana raha hai,
Kyun khud ko yun har lamha jala raha hai,
Kyun har lamha khudi ko apni nazron mein gira raha hai,
Saanse to chal rahi hai, tu kyun ruk chuk hai?
Wakt to nahi ruka, bedhadak chala ja raha hai…



 

No comments:

Post a Comment