Thursday 3 November 2016

Ek woh Jahan!



Yun ghar ki bheeter baitha mein kahin kho sa gaya,
Khidki ke bahar nazar daudayi to kuch ehsaas hua,
Kuch samay ho gaya tha jab se ghar mein band tha mein,
Shayad ye ek darr tha jo mujhe jakad raha tha..
Ab socta hun ki Maut ka kafan bandhe chalun wahan,
Ek woh jahan, jahan maut bahut sasti hai…

Yun darr kar chupe rehna kuch thik nahi lagta,
Dekho, ye khidki ke bahar to bahut log hain,
Yeh to bekhauf chale jaa rahe hain,
Kya apni jaati bhula dene se kuch asaan ho jayega,
Ab socta hun ki Maut ka kafan bandhe chalun wahan,
Ek woh jahan, jahan maut bahut sasti hai…

Par ye log to mujhe nahi bhule honge,
Inhone hi to mujhse mera parichay karwaya tha,
Mein musalmaan zyada aur bhartiye kam ye batlaya tha,
Par yun chup ke baithna to thik nahi lag raha,
Ab socta hun ki Maut ka kafan bandhe chalun wahan,
Ek woh jahan, jahan maut bahut sasti hai…

Kya is desh ke kannon pe bharosa kiya ja sakta tha,
Jo khud shikaar ho shikaari ki bhumika nibha raha tha,
2002 se 2013 tak 995 ‘fake encounters’ kar chukka tha,
Par nahi, mein 996th nahi ho sakta, mera dharam mujhe doshi kaise bana sakta tha,
Ab socta hun ki Maut ka kafan bandhe chalun wahan,
Ek woh jahan, jahan maut bahut sasti hai…

Yun sarhad par ka rasta dikha diya jaana bahut ajeeb tha,
Raam ke naam pe yun masjid girana bahut ajeeb tha,
Gai ko bachane ke naam pe yun humein maar girana bahut ajeeb tha,
Hindutv mein jadke us kanoon ka ek tarfa nazariya bahut ajeeb tha,
Bhopal ki jail mein woh 8 kaidiyon ka “fake encounter” bahut ajeeb tha,
Ishrat jahan ko is jahan se ruksat kar dena bahut ajeeb tha,
28 September 2015 ko Mohammad Akhlaq Saifi ko lynch kar maar girana bahut ajeeb tha,

Aur in sab mein kuch ajeeb nahi tha to mera yeh dar,
Jo bar bar mujhe sab yaad dila raha tha,
Har din ke baad raat ka ehsaas dila raha tha,
Din ke ujaale mein andhkaar faila rha tha….

Aaj ki raat shayad ek haseen subah le aae,
Jab mere desh ke vaasi, mein jaisa hun, mujhe vaisa hi apnaein,
Mere sar ki topi ya daadi se nahin, mujhe mere karm se pehchaane,
Hindu muslim sikh isaai, aapas mein hain sab bhai ka naara lagein…

Aur agar kahin ye na ho paye, To ab aur na darunga,
Ab badh chalunga us jahan mein jo mera bhi hai,
Bas ye aaj ki raat nikal jaye, ek haseen subah mein ek nai shuruaat karunga,
Maut ka kafan bandhe chala jaunga wahan,
Ek woh jahan, jahan maut bahut sasti hai…

No comments:

Post a Comment